Chehlum
Hogayee binte Ali jab 
Qaid zindaan se reha
Dair tak royee bechakar 
Bhai ka farshay azaa
 
Ba khuda binte ali hai
Baniyay farshay aza
Shaam mai hamsheer ne ki
Bhai ki majlis bapa
Bangayee shabbir ki yu
Pehli bibi zakira
Shouda ai karbobala ke
Jab milay vursa ko sar
Dekh kar sar varisoun ke
Bibia ti noha gar
Lab pay thi binte ali ke
Ya hussaina ki sada
Kabre bali par jab aya
Qafila Sajjad ka
Rakh khoon alouda gohar
Binte Haider nai kaha
Alvida beti masooma 
Ab tera hafiz khuda
Keh uti ummul masaib
Hokay yu mehvay fughan
Kya karoun jakar madinay
Na raha bhai vaha
Lai chalo sajjad mera 
Qafila karbobala 
 
Phool ashqou ke charhakar
Turbate shabbir par
Kehtie tie Haaye bibi 
Sar ko apnay peet kar
Pursa deenay aaee hoon mai
E ghareebai nehnava
 
