Imam Hassan Askari asws
*Shohra Jahaan Mai Hassan-E Askari Ka Hai 
Naqsh e Nageeñ Ye Arsh Ki Ungushtari Ka Hai  
Konain Mai Ye Gul Chaman-E Haideri Ka Hai
Durr-E Yateem Maadan-E Paighambari Ka Hai
        Mazloomiyat Mai Misl e Janaab-E Hussain Hai
        Aur Dabdabe Mai Faatahe Badr-O Hunain Hai
*Abid ki tarha in pe ibaadat ka khatima
Misle Ali hai in pe shujaa’at ka khatima
Saadiq ki tarha in pe sadaaqat ka khatima
Misl e Hassan hai khulq o murawwat ka khatima
Shumme mazaar e aqdas e sher e ilaah hai
Pusht o panaah qabr e risaalat panaah hai
*Par Motamad Ne Qaihr Kiya Waa Musibatha
Aise Wali Ko Zehr Diya Waa Musibatha
Emaañ Ke Ghar Ko Loot Liya Waa Musibatha
Khoone Jigar e Haram Ne Piya Waa Musibatha
        Phaarra Kafan Nabi Ne Ali khulle Sar Huwe
        Bachpan Mai Hy Mahdi-E Deen Be Pidar Huwe
*Mola ko wirsa ye hassan e paak ka mila
Yaani hassan ki tarha se zehr e dagha mila
Har rouz aik rouz se sadma siwa mila
Kya khaaq mai nishaan e rasool e khuda mila
Zehr e ajal se sabz hassan ka badan huwa
Sar sabz khoob sher e khuda ka chaman huwa
    Arwaahe Panjetan Ko Sataaya Hazaar Haif
    Jannath Mai Mustafa Ko Rulaaya Hazaar Haif
    Turbat Se Syeda Ko Uthaaya Hazaar Haif 
    Qabr-E Shah-E Najaf Ko Hilaaya Hazaar Haif
            Ghul Saamare Mai Hota Tha Jis Waqt Bayn Ka
            Yaan Karbala Mai Hilta Tha Marqad Hussain Ka
*Likha Hai Jab Imaam Huwe Aazim-E Jinaan
Ek Daffa Saamare Mai Qayaamat Huwi Ayaan
Doulath Siraa-E Shaah Se Aane Lagi Fughaan
Lo Momino Yateem Huwe Saahib-Uz Zamaan
        Sar Garm Zulm Chaaroun Taraf Bad Khisaal Hai
        Aur Haif Hai Ke Mahdi-E Deen Khurd Saal Hai
Aakar mazaar mai huwi syeda ye naaraazan
Hy hy mere ghareeb hassan bewatan hassan
Kis qaihr ka ye zehr tha hai sabz sab badan
Hy hy zumurradi hai mere laal ka kafan
Ye zehr mere qalb pe taaseer kargaya
Kya jaaniye jigar pe mere kya guzargaya
